Why this poojan is needed
- Kisi bhi shubh karya se pehle
- Kaam mein aa rahi rukawat
- Buddhi aur safalta ki kamna
Benefits
- Vighna-nivaran
- Shubh aarambh
- Buddhi aur safalta
Ganesh Pooja
विघ्न विनाशक
Bhagwan Ganesh ko vighnaharta mana jata hai — kisi bhi shubh karya ki shuruaat unki pooja se karne ki parampara hai, taaki karya nirvighn poora ho.
Naya kaam, vyapar, vivah ya koi bhi mahatvapurn karya shuru karne se pehle Ganesh ji ki pooja se rukawaton ko door karne ki koshish ki jaati hai.
Sankalp ke baad Ganesh ji ka shodashopchar pooja, mantra jaap aur havan kiya jata hai. Modak aur durva ka bhog vishesh roop se chadhaya jata hai.
Ganesh mool mantra aur Ganpati Atharvashirsha ka path kiya jata hai.
Buddhvar ke din aur Ganesh Chaturthi par ye pooja vishesh shubh mani jaati hai, lekin kisi bhi naye karya se pehle ki ja sakti hai.
Haan, kisi bhi shubh karya se pehle ya Buddhvar ke din alag se Ganesh Pooja karwayi ja sakti hai.
Poojan Booking
Fill your details below. Reply comes within one working day with the next suitable muhurat, the samagri list and the dakshina in writing.